mujhse mat puchh mera haal-e-darun rahne de
mujh se mat pūchh mirā hāl-e-darūñ rahne de
sun ke Tapkegā tirī āñkhoñ se ḳhuuñ rahne de
fasl-e-gul dasht-e-ḳhirad meñ hai agarche maujūd
mujh ko pā-basta-e-zanjīr-e-junūñ rahne de
tū karam mujh pe karegā to jatā.egā zarūr
haal jo merā zubūñ hai to zubūñ rahne de
sādgī sī koī zīnat nahīñ hotī jānāñ
apnī in shoḳh adāoñ kā fusūñ rahne de
chheḌ kar phir vahī maazī ke purāne qisse
mujh se mat chhīn mire dil kā sukūñ rahne de
ai zamāna maiñ tire saath badalne se rahā
ab maiñ achchhā ki burā jaisā bhī huuñ rahne de
mujh se mat puchh mera haal-e-darun rahne de
sun ke Tapkega teri aankhon se KHun rahne de
fasl-e-gul dasht-e-KHirad mein hai agarche maujud
mujh ko pa-basta-e-zanjir-e-junun rahne de
tu karam mujh pe karega to jataega zarur
haal jo mera zubun hai to zubun rahne de
sadgi si koi zinat nahin hoti jaanan
apni in shoKH adaon ka fusun rahne de
chheD kar phir wahi mazi ke purane qisse
mujh se mat chhin mere dil ka sukun rahne de
ai zamana main tere sath badalne se raha
ab main achchha ki bura jaisa bhi hun rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.