mujhse mat puchh mere ishq mein kya rakkha hai
mujh se mat pūchh mire ishq meñ kyā rakkhā hai
ek sho.ala hai jo siine meñ chhupā rakkhā hai
dāġh-e-dil dāġh-e-jigar dāġh-e-tamannā le kar
maiñ ne vīrān bahāroñ ko sajā rakkhā hai
hai zamāna jise betāb miTāne ke liye
maiñ ne us yaad ko siine se lagā rakkhā hai
dekhne vaale mujhe dard-e-mohabbat kī qasam
maiñ ne is dard meñ duniyā ko bhulā rakkhā hai
mujh se mat puchh mere ishq mein kya rakkha hai
ek shoala hai jo sine mein chhupa rakkha hai
dagh-e-dil dagh-e-jigar dagh-e-tamanna le kar
main ne viran bahaaron ko saja rakkha hai
hai zamana jise betab miTane ke liye
main ne us yaad ko sine se laga rakkha hai
dekhne wale mujhe dard-e-mohabbat ki qasam
main ne is dard mein duniya ko bhula rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.