mujhse milne ke liye mah wo ghar se nikla
mujh se milne ke liye maah vo ghar se niklā
kaam merā mirī aahoñ ke asar se niklā
ho ga.iiñ mushkileñ āsān mirī dam bhar meñ
nek-aḳhtar ye mirā shams-o-qamar se niklā
kyā vo matlab thā farishte nahīñ samjhe jis ko
āsmāñ par vahī matlab to bashar se niklā
mīThī bātoñ se nikaltā hai jo maqsad apnā
vo na duniyā meñ kabhī la.al-o-gohar se niklā
baad muddat ke vo aayā jo to ye maiñ ne kahā
kis taraf sajda karūñ chāñd kidhar se niklā
aap ne ḳhaak jo chhānī hai 'hayā' duniyā kī
fā.eda aap kā kyā itne safar se niklā
mujh se milne ke liye mah wo ghar se nikla
kaam mera meri aahon ke asar se nikla
ho gain mushkilen aasan meri dam bhar mein
nek-aKHtar ye mera shams-o-qamar se nikla
kya wo matlab tha farishte nahin samjhe jis ko
aasman par wahi matlab to bashar se nikla
miThi baaton se nikalta hai jo maqsad apna
wo na duniya mein kabhi lal-o-gohar se nikla
baad muddat ke wo aaya jo to ye main ne kaha
kis taraf sajda karun chand kidhar se nikla
aap ne KHak jo chhani hai 'haya' duniya ki
faeda aap ka kya itne safar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.