mujhse milne mere KHeme mein chali aati hai gard
mujh se milne mere ḳheme meñ chalī aatī hai gard
dasht-e-vahshat meñ faqat merī mulāqātī hai gard
dasht meñ basnā mujhe is vāste raas aa gayā
gard se mil kar mirī hastī bhī ban jaatī hai gard
rā.egānī kā satātā hai mujhe ehsās jab
zindagī kā sochtī huuñ yaad aa jaatī hai gard
phir koī vahshat ghumā.e dā.era-dar-dā.era
gher kar jab bhī mujhe sahrā meñ le jaatī hai gard
aa.ina yādoñ kā ab khone lagā hai āb-o-tāb
kuchh to khaa.e zang us ko aur kuchh khātī hai gard
dūrī-e-manzil ho kam jab ḳhār-o-ḳhas uThne lageñ
kārvāñ ke kuuch kā unvān ban jaatī hai gard
jo akaḌ kar chal rahā hai ek fir.auñ kī tarah
aise insāñ ko ishāra ik mukāfātī hai gard
saarā din ham saat bhaTkeñ shaam ko thak haar kar
saath mere hiir vāris-shāh kī gaatī hai gard
bas isī ḳhātir 'tabassum' mujh ko ye bhātī nahīñ
aap kī tasvīr par rozāna paḌ jaatī hai gard
mujh se milne mere KHeme mein chali aati hai gard
dasht-e-wahshat mein faqat meri mulaqati hai gard
dasht mein basna mujhe is waste ras aa gaya
gard se mil kar meri hasti bhi ban jati hai gard
raegani ka satata hai mujhe ehsas jab
zindagi ka sochti hun yaad aa jati hai gard
phir koi wahshat ghumae daera-dar-daera
gher kar jab bhi mujhe sahra mein le jati hai gard
aaina yaadon ka ab khone laga hai aab-o-tab
kuchh to khae zang us ko aur kuchh khati hai gard
duri-e-manzil ho kam jab KHar-o-KHas uThne lagen
karwan ke kuch ka unwan ban jati hai gard
jo akaD kar chal raha hai ek firaun ki tarah
aise insan ko ishaara ek mukafati hai gard
sara din hum sat bhaTken sham ko thak haar kar
sath mere hir waris-shah ki gati hai gard
bas isi KHatir 'tabassum' mujh ko ye bhati nahin
aap ki taswir par rozana paD jati hai gard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.