mujhse na jaane kaun si aisi KHata hui
mujh se na jaane kaun sī aisī ḳhatā huī
shāyad vafā ke jurm meñ mujh ko sazā huī
ye ġham nahīñ ki aah mirī nā-rasā huī
un kī jafā hī merī vafā kā sila huī
guzrā na zindagī meñ koī din sukūn se
yā-rab mujhe hayāt ye kaisī atā huī
manzil pe ārzūoñ ne dāman chhuḌā liyā
hasrat kabhī bhī dil se na mere judā huī
ummīd-o-ġham bhī rahte haiñ dil meñ alag alag
kab dard-o-ārzū kī kasak ek-jā huī
har roz mai-kadoñ meñ rahī hāzirī merī
zāhid tirī namāz to aksar qazā huī
gumrāhiyoñ meñ itnī lagīñ mujh ko Thokareñ
be-rāh-ravī aaj mirī rāh-numā huī
'sālik' mire sabab se huā dūsroñ kā naam
rusvā.ī jab junūñ meñ mirī jā-ba-jā huī
mujh se na jaane kaun si aisi KHata hui
shayad wafa ke jurm mein mujh ko saza hui
ye gham nahin ki aah meri na-rasa hui
un ki jafa hi meri wafa ka sila hui
guzra na zindagi mein koi din sukun se
ya-rab mujhe hayat ye kaisi ata hui
manzil pe aarzuon ne daman chhuDa liya
hasrat kabhi bhi dil se na mere juda hui
ummid-o-gham bhi rahte hain dil mein alag alag
kab dard-o-arzu ki kasak ek-ja hui
har roz mai-kadon mein rahi haziri meri
zahid teri namaz to aksar qaza hui
gumrahiyon mein itni lagin mujh ko Thokaren
be-rah-rawi aaj meri rah-numa hui
'salik' mere sabab se hua dusron ka nam
ruswai jab junun mein meri ja-ba-ja hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.