mujhse pahle meri taswir tere hath mein hai
mujhse pahle meri taswir tere hath mein hai
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
mujh se pahle mirī tasvīr tire haath meñ hai
aur mire ḳhvāboñ kī ta.abīr tire haath meñ hai
duur hargiz na samajhnā mire hamdam mujh ko
ye tasavvur nahīñ tanvīr tere haath meñ hai
sochte rahte haiñ har gaam pe ye tarz-e-hayāt
aur isbāt kī zanjīr tire haath meñ hai
kis tarah se ye shab-o-roz guzāre ham ne
har taḳhayyul tirā tauqīr tire haath meñ hai
duur huuñ tujh se magar saath huuñ saa.e kī tarah
ai mirī zindagī taqdīr tire haath meñ hai
is tarah se mire dil ne kabhī sochā bhī na thā
apnī pahchān kī tadbīr tire haath meñ hai
koī paimān-e-vafā bhī na kiyā thā ham ne
huuñ nishāne pe har ik tiir tire haath meñ hai
mujh se pahle meri taswir tere hath mein hai
aur mere KHwabon ki tabir tere hath mein hai
dur hargiz na samajhna mere hamdam mujh ko
ye tasawwur nahin tanwir tere hath mein hai
sochte rahte hain har gam pe ye tarz-e-hayat
aur isbaat ki zanjir tere hath mein hai
kis tarah se ye shab-o-roz guzare hum ne
har taKHayyul tera tauqir tere hath mein hai
dur hun tujh se magar sath hun sae ki tarah
ai meri zindagi taqdir tere hath mein hai
is tarah se mere dil ne kabhi socha bhi na tha
apni pahchan ki tadbir tere hath mein hai
koi paiman-e-wafa bhi na kiya tha hum ne
hun nishane pe har ek tir tere hath mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.