mujhse ranjish kabhi bartao mein gholi na gai
mujh se ranjish kabhī bartāo meñ gholī na ga.ī
asl meñ nabz zamāne kī TaTolī na ga.ī
tū ne mere liye khole haiñ ḳhazāne har roz
mujh se chhoTī sī mirī jeb bhī kholī na ga.ī
sab ne hī apnī tarāzū se hamesha tolā
Thiik mehnat kahīñ mazdūr kī tolī na ga.ī
beTiyāñ apnī bahar-hāl parāyā dhan haiñ
ghar nahīñ koī jahāñ se kabhī Dolī na ga.ī
ik mohabbat hī mohabbat hai bas apnī bolī
dūsrī koī bhī 'hashmat' kabhī bolī na ga.ī
mujh se ranjish kabhi bartao mein gholi na gai
asl mein nabz zamane ki TaToli na gai
tu ne mere liye khole hain KHazane har roz
mujh se chhoTi si meri jeb bhi kholi na gai
sab ne hi apni taraazu se hamesha tola
Thik mehnat kahin mazdur ki toli na gai
beTiyan apni bahar-haal paraya dhan hain
ghar nahin koi jahan se kabhi Doli na gai
ek mohabbat hi mohabbat hai bas apni boli
dusri koi bhi 'hashmat' kabhi boli na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.