mujhse ruThi meri taqdir thi wo aaj bhi hai
mujh se rūThī mirī taqdīr thī vo aaj bhī hai
aah begāna-e-tāsīr thī vo aaj bhī hai
aap kī chashm-e-ināyat ke tasarruf kī qasam
bazm kī bazm jo dil-gīr thī vo aaj bhī hai
inqilābāt kī yūrish hai ilāhī tauba
dil meñ ik hasrat-e-tāmīr thī vo aaj bhī hai
vus.at-e-ḳhvāb-e-azal itnī samajh meñ aa.ī
raushnī koshish-e-ta.abīr thī vo aaj bhī hai
is taġhayyur ke is andāz-e-rihā.ī ke nisār
apne pairoñ meñ jo zanjīr thī vo aaj bhī hai
mujh se ruThi meri taqdir thi wo aaj bhi hai
aah begana-e-tasir thi wo aaj bhi hai
aap ki chashm-e-inayat ke tasarruf ki qasam
bazm ki bazm jo dil-gir thi wo aaj bhi hai
inqilabaat ki yurish hai ilahi tauba
dil mein ek hasrat-e-tamir thi wo aaj bhi hai
wusat-e-KHwab-e-azal itni samajh mein aai
raushni koshish-e-tabir thi wo aaj bhi hai
is taghayyur ke is andaz-e-rihai ke nisar
apne pairon mein jo zanjir thi wo aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.