mujhse to ab ye nazara nahin dekha jata
mujh se to ab ye nazārā nahīñ dekhā jaatā
koī utrā huā chehra nahīñ dekhā jaatā
un kī āñkhoñ ke rulā dete haiñ aañsū mujh ko
zulm insān pe hotā nahīñ dekhā jaatā
phuul afsurda haiñ aur sahmī huī kaliyāñ haiñ
aisā aalam to chaman kā nahīñ dekhā jaatā
band nafrat kī siyāsat ko karo ahl-e-vatan
ham se ab to ye tamāshā nahīñ dekhā jaatā
kaun aatā hai bhalā baat hamārī sunñe
dukh kisī se bhī hamārā nahīñ dekhā jaatā
ḳhud hī jab manzil-e- maqsad kā safar karnā ho
phir kisī kā bhī sahārā nahīñ dekhā jaatā
ḳhūn-e-mazlūm se aḳhbār hoī surḳh 'qamar'
ḳhūn-ālūda saverā nahīñ dekhā jaatā
mujh se to ab ye nazara nahin dekha jata
koi utra hua chehra nahin dekha jata
un ki aankhon ke rula dete hain aansu mujh ko
zulm insan pe hota nahin dekha jata
phul afsurda hain aur sahmi hui kaliyan hain
aisa aalam to chaman ka nahin dekha jata
band nafrat ki siyasat ko karo ahl-e-watan
hum se ab to ye tamasha nahin dekha jata
kaun aata hai bhala baat hamari sunne
dukh kisi se bhi hamara nahin dekha jata
KHud hi jab manzil-e- maqsad ka safar karna ho
phir kisi ka bhi sahaara nahin dekha jata
KHun-e-mazlum se aKHbar hoi surKH 'qamar'
KHun-aluda sawera nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.