mujhse to tar-tar gareban na ho saka
mujh se to tār-tār garebāñ na ho sakā
ai ishq tujh pe koī bhī ehsāñ na ho sakā
ik maiñ ki terī yaad na dil se bhulā sakā
ik tū ki mere haal kā pursāñ na ho sakā
vo aah kyā jo qahr-e-ilāhī na ban sakī
vo ashk kyā jo nuuh kā tūfāñ na ho sakā
kāfir bhī mai-kade meñ musalmān ho ga.e
lekin haram meñ shaiḳh musalmāñ na ho sakā
thā jin ko naaz apnī masīhā.ī par bahut
un se bhī mere dard kā darmāñ na ho sakā
kah do to dil ko chiir ke sābit karūñ abhī
tere baġhair koī bhī mehmāñ na ho sakā
ye baat sach hai ulfat-e-sarshār ke baġhair
'bismil' maiñ anjuman meñ ġhazal-ḳhvāñ na ho sakā
mujh se to tar-tar gareban na ho saka
ai ishq tujh pe koi bhi ehsan na ho saka
ek main ki teri yaad na dil se bhula saka
ek tu ki mere haal ka pursan na ho saka
wo aah kya jo qahr-e-ilahi na ban saki
wo ashk kya jo nuh ka tufan na ho saka
kafir bhi mai-kade mein musalman ho gae
lekin haram mein shaiKH musalman na ho saka
tha jin ko naz apni masihai par bahut
un se bhi mere dard ka darman na ho saka
kah do to dil ko chir ke sabit karun abhi
tere baghair koi bhi mehman na ho saka
ye baat sach hai ulfat-e-sarshaar ke baghair
'bismil' main anjuman mein ghazal-KHwan na ho saka
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 83)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.