mujhe aamajgah-e-nawak-e-bedad rahne de
mujhe āmājgāh-e-nāvak-e-bedād rahne de
jo is kā naam barbādī hai to barbād rahne de
sarisht-e-ishq lazzat-āshnā-e-talḳh-kāmī hai
maiñ nāshād-e-tamanna huuñ mujhe nāshād rahne de
nahīñ jab sub.ha-o-zunnār ke phande meñ gīrā.ī
mujhe dair-o-haram ke daam se āzād rahne de
abhī se kyoñ banī jaatī hai chashm-e-nāz begāna
fareb-e-ārzū kuchh din sitam-ījād rahne de
kiyā hai kin umīdoñ par farāham āshiyāñ maiñ ne
ḳhudārā mausam-e-gul tak mire sayyād rahne de
hameñ āzādī-e-fikr-o-nazar kā idda.ā to hai
koī ġhārat-gar-e-īmāñ agar āzād rahne de
dil-e-barbād se ye chashmak-e-chashm-e-tarab kyoñ hai
karam-nā-āshnā ko ḳhūgar-e-bedād rahne de
mujhe aamajgah-e-nawak-e-bedad rahne de
jo is ka nam barbaadi hai to barbaad rahne de
sarisht-e-ishq lazzat-ashna-e-talKH-kaami hai
main nashad-e-tamanna hun mujhe nashad rahne de
nahin jab subha-o-zunnar ke phande mein girai
mujhe dair-o-haram ke dam se aazad rahne de
abhi se kyon bani jati hai chashm-e-naz begana
fareb-e-arzu kuchh din sitam-ijad rahne de
kiya hai kin umidon par faraham aashiyan main ne
KHudara mausam-e-gul tak mere sayyaad rahne de
hamein aazadi-e-fikr-o-nazar ka iddaa to hai
koi ghaarat-gar-e-iman agar aazad rahne de
dil-e-barbaad se ye chashmak-e-chashm-e-tarab kyon hai
karam-na-ashna ko KHugar-e-bedad rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.