mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se
mujhe āzād kar do nā sabhī pur-soz nāloñ se
mirī ai ḳham-zada qismat dukhoñ kī saḳht chāloñ se
kahāñ se sabr laa.eñ ham kahāñ ab aur jaa.eñ ham
bahut hī zaḳhm paa.e haiñ are in husn vāloñ se
kisī ko soch kar kaise kisī kī soch se nikleñ
bahut bechain rahte haiñ ka.ī aise savāloñ se
ye ham se rūThne vaale manā.e ab nahīñ jaate
bahut uktā ga.e haiñ ham manāne ke ḳhayāloñ se
ḳhudā kā ḳhauf khaao kuchh Daro us zaat se logo
mujhe ab mat satāo nit-na.ī gahrī ye chāloñ se
koī nā-mehrbāñ jab hai banegā mehrbāñ kaise
isī uljhan meñ uljhe haiñ guzishta aaTh sāloñ se
kisī kā kore kāġhaz par banāyā aks thā 'kāshif'
ki ḳhushbū ab bhī uThtī hai usī ke kaale bāloñ se
mujhe aazad kar do na sabhi pur-soz nalon se
meri ai KHam-zada qismat dukhon ki saKHt chaalon se
kahan se sabr laen hum kahan ab aur jaen hum
bahut hi zaKHm pae hain are in husn walon se
kisi ko soch kar kaise kisi ki soch se niklen
bahut bechain rahte hain kai aise sawalon se
ye hum se ruThne wale manae ab nahin jate
bahut ukta gae hain hum manane ke KHayalon se
KHuda ka KHauf khao kuchh Daro us zat se logo
mujhe ab mat satao nit-nai gahri ye chaalon se
koi na-mehrban jab hai banega mehrban kaise
isi uljhan mein uljhe hain guzishta aaTh salon se
kisi ka kore kaghaz par banaya aks tha 'kashif'
ki KHushbu ab bhi uThti hai usi ke kale baalon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.