mujhe apni bazm-e-hayat mein abhi gham uThane ka shauq hai
mujhe apni bazm-e-hayat mein abhi gham uThane ka shauq hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
mujhe apnī bazm-e-hayāt meñ abhī ġham uThāne kā shauq hai
ye to us divāne kī baat hai jise duub jaane kā shauq hai
tirī har nazar meñ haiñ shoḳhiyāñ mirī har nigāh meñ narmiyāñ
tujhe zaḳhm dene kī 'ādateñ mujhe zaḳhm khāne kā shauq hai
mire dil pe girtī haiñ bijliyāñ yuuñ na muskurā jo kahā gayā
tirā ye javāb ki kyā karūñ mujhe muskurāne kā shauq hai
mirī zindagī kī ye riit thī ki qadam qadam mirī jiit thī
maiñ to jiit jiit ke thak chukā mujhe haar jaane kā shauq hai
mujhe masjidoñ meñ na le chalo mujhe mandiroñ se alag rakho
abhī husn ke hī huzūr meñ mujhe sar jhukāne kā shauq hai
mujhe apni bazm-e-hayat mein abhi gham uThane ka shauq hai
ye to us diwane ki baat hai jise dub jaane ka shauq hai
teri har nazar mein hain shoKHiyan meri har nigah mein narmiyan
tujhe zaKHm dene ki 'adaten mujhe zaKHm khane ka shauq hai
mere dil pe girti hain bijliyan yun na muskura jo kaha gaya
tera ye jawab ki kya karun mujhe muskurane ka shauq hai
meri zindagi ki ye rit thi ki qadam qadam meri jit thi
main to jit jit ke thak chuka mujhe haar jaane ka shauq hai
mujhe masjidon mein na le chalo mujhe mandiron se alag rakho
abhi husn ke hi huzur mein mujhe sar jhukane ka shauq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.