mujhe aziz hai ye nikhaton ka gahwara
mujhe aziiz hai ye nik.hatoñ kā gahvārā
ḳhudā kare na mile tere ġham se chhuTkārā
kalī kalī tirī doshīzgī kī ḳhushbū hai
chaman chaman tirī rānā.iyoñ kā nazzārā
qadam qadam tire āb-e-hayāt ke chashme
ravish ravish tirī jū-e-ḳhirām kā dhārā
nafas nafas tire kūche meñ ek aalam hai
yahāñ se lauT ke jaane kā ab kise yaarā
galī galī mirī rusvā.iyoñ ke charche haiñ
kahāñ kahāñ liye phirtī hai bū-e-āvārā
mujhe aziz hai ye nikhaton ka gahwara
KHuda kare na mile tere gham se chhuTkara
kali kali teri doshizgi ki KHushbu hai
chaman chaman teri ranaiyon ka nazzara
qadam qadam tere aab-e-hayat ke chashme
rawish rawish teri ju-e-KHiram ka dhaara
nafas nafas tere kuche mein ek aalam hai
yahan se lauT ke jaane ka ab kise yara
gali gali meri ruswaiyon ke charche hain
kahan kahan liye phirti hai bu-e-awara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.