mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-KHabari rahi
mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-KHabari rahi
Qamar Jalalvi
MORE BYQamar Jalalvi
mujhe bāġhbāñ se gila ye hai ki chaman se be-ḳhabarī rahī
ki hai naḳhl-e-gul kā to zikr kyā koī shāḳh tak na harī rahī
mirā haal dekh ke sāqiyā koī bāda-ḳhvār na pī sakā
tire jaam ḳhālī na ho sake mirī chashm-e-tar na bharī rahī
maiñ qafas ko toḌ ke kyā karūñ mujhe raat din ye ḳhayāl hai
ye bahār bhī yuuñ hī jā.egī jo yahī shikasta-parī rahī
mujhe alam tere jamāl kā na ḳhabar hai tere jalāl kī
ye kalīm jaane ki tuur par tirī kaisī jalvagarī rahī
maiñ azal se aayā to kyā milā jo maiñ jā.ūñgā to milegā kyā
mirī jab bhī dar-ba-darī rahī mirī ab bhī dar-ba-darī rahī
yahī sochtā huuñ shab-e-alam ki na aa.e vo to huā hai kyā
vahāñ jā sakī na mirī fuġhāñ ki fuġhāñ kī be-asarī rahī
shab-e-va.ada vo jo na aa sake to 'qamar' kahūñgā ye charḳh se
tire taare bhī ga.e rā.egāñ tirī chāñdnī bhī dharī rahī
mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-KHabari rahi
ki hai naKHl-e-gul ka to zikr kya koi shaKH tak na hari rahi
mera haal dekh ke saqiya koi baada-KHwar na pi saka
tere jam KHali na ho sake meri chashm-e-tar na bhari rahi
main qafas ko toD ke kya karun mujhe raat din ye KHayal hai
ye bahaar bhi yun hi jaegi jo yahi shikasta-pari rahi
mujhe alam tere jamal ka na KHabar hai tere jalal ki
ye kalim jaane ki tur par teri kaisi jalwagari rahi
main azal se aaya to kya mila jo main jaunga to milega kya
meri jab bhi dar-ba-dari rahi meri ab bhi dar-ba-dari rahi
yahi sochta hun shab-e-alam ki na aae wo to hua hai kya
wahan ja saki na meri fughan ki fughan ki be-asari rahi
shab-e-wada wo jo na aa sake to 'qamar' kahunga ye charKH se
tere tare bhi gae raegan teri chandni bhi dhari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.