mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya
mujhe bachā bhī liyā chhoḌ kar chalā bhī gayā
vo mehrbāñ pas-e-gard-e-safar chalā bhī gayā
vagarna tang na thī 'ishq par ḳhudā kī zamīñ
kahā thā us ne to maiñ apne ghar chalā bhī gayā
koī yaqīñ na kare maiñ agar kisī ko batā.ūñ
vo uñgliyāñ thiiñ ki zaḳhm-e-jigar chalā bhī gayā
mire badan se phir aa.ī ga.e dinoñ kī mahak
agarche mausam-e-barg-o-samar chalā bhī gayā
havā kī tarah na dekhī mirī ḳhizāñ kī bahār
khilā ke phuul mirā ḳhush-nazar chalā bhī gayā
'ajīb raushaniyāñ thiiñ visāl ke us paar
maiñ us ke saath rahā aur udhar chalā bhī gayā
kal us ne sair karā.ī na.e jahānoñ kī
to ranj-e-nārasī-e-bāl-o-par chalā bhī gayā
mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya
wo mehrban pas-e-gard-e-safar chala bhi gaya
wagarna tang na thi 'ishq par KHuda ki zamin
kaha tha us ne to main apne ghar chala bhi gaya
koi yaqin na kare main agar kisi ko bataun
wo ungliyan thin ki zaKHm-e-jigar chala bhi gaya
mere badan se phir aai gae dinon ki mahak
agarche mausam-e-barg-o-samar chala bhi gaya
hawa ki tarah na dekhi meri KHizan ki bahaar
khila ke phul mera KHush-nazar chala bhi gaya
'ajib raushaniyan thin visal ke us par
main us ke sath raha aur udhar chala bhi gaya
kal us ne sair karai nae jahanon ki
to ranj-e-narasi-e-baal-o-par chala bhi gaya
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 63)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.