mujhe baKHshi KHuda ne kaun rokega zaban meri
mujhe baḳhshī ḳhudā ne kaun rokegā zabāñ merī
tumheñ har haal meñ sunñī paḌegī dāstāñ merī
kabhī to shāhrāh-e-zindagī thī kahkashāñ merī
magar ab kārvāñ merā na gard-e-kārvāñ merī
abhī logoñ ke dil meñ ḳhaar kī sūrat khaTaktā huuñ
abhī tak yaad hai ahl-e-chaman ko dāstāñ merī
mire guzre hue tevar abhī bhūlī nahīñ duniyā
abhī bikhrī huī haiñ har taraf parchhā.iyāñ merī
mirī āñkhoñ meñ aañsū haiñ na hoñToñ pe tabassum hai
samajh meñ kyā kisī ke aa.egī tarz-e-fuġhāñ merī
mirī fitrat ko kyā samjheñge ye ḳhvāb-e-girāñ vaale
savere ke sitāre kī chamak hai rāz-dāñ merī
tirī rāh-e-talab meñ zaḳhm sab siine pe khaa.e haiñ
bahār-e-gulsitāñ merī hayāt-e-jāvidāñ merī
mujhe baKHshi KHuda ne kaun rokega zaban meri
tumhein har haal mein sunni paDegi dastan meri
kabhi to shahrah-e-zindagi thi kahkashan meri
magar ab karwan mera na gard-e-karwan meri
abhi logon ke dil mein KHar ki surat khaTakta hun
abhi tak yaad hai ahl-e-chaman ko dastan meri
mere guzre hue tewar abhi bhuli nahin duniya
abhi bikhri hui hain har taraf parchhaiyan meri
meri aankhon mein aansu hain na honTon pe tabassum hai
samajh mein kya kisi ke aaegi tarz-e-fughan meri
meri fitrat ko kya samjhenge ye KHwab-e-giran wale
sawere ke sitare ki chamak hai raaz-dan meri
teri rah-e-talab mein zaKHm sab sine pe khae hain
bahaar-e-gulsitan meri hayat-e-jawidan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.