mujhe banane mein sab ka KHarcha laga hua hai
mujhe banāne meñ sab kā ḳharcha lagā huā hai
kisī kā lohā kisī kā tāñbā lagā huā hai
nahīñ hai apnā koī bhī duniyā jahāñ meñ lekin
kisī ko khone kā mujh ko ḳhadsha lagā huā hai
kabhī thī ThanDī zamīn saa.e se jin ke logo
hamārā aise shajar se shajara lagā huā hai
vo shoḳh laḌkī hasīn chehra kamāl bāteñ
sunā hai us kā kisī se rishta lagā huā hai
mujhe hamesha se batri kah ke hañsne vaalī
tujhe hī takne se mujh ko chashma lagā huā hai
kisī kī āñkheñ kisī kā dil itnā kah ke 'jāñbāz'
vo pūchhtā hai ki terā kyā kyā lagā huā hai
mujhe banane mein sab ka KHarcha laga hua hai
kisi ka loha kisi ka tanba laga hua hai
nahin hai apna koi bhi duniya jahan mein lekin
kisi ko khone ka mujh ko KHadsha laga hua hai
kabhi thi ThanDi zamin sae se jin ke logo
hamara aise shajar se shajara laga hua hai
wo shoKH laDki hasin chehra kamal baaten
suna hai us ka kisi se rishta laga hua hai
mujhe hamesha se batri kah ke hansne wali
tujhe hi takne se mujh ko chashma laga hua hai
kisi ki aankhen kisi ka dil itna kah ke 'jaanbaz'
wo puchhta hai ki tera kya kya laga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.