mujhe bataya gaya tha yahan mohabbat hai
mujhe batāyā gayā thā yahāñ mohabbat hai
maiñ aa gayā huuñ dikhāo kahāñ mohabbat hai
yahāñ ke log bahut dushmanī nibāhte haiñ
isī se hotā hai sābit yahāñ mohabbat hai
kisī ke nāf-piyāle se muñh haTā lenā
savāl hī nahīñ uThtā miyāñ mohabbat hai
so rūh-o-jism kā rishta bahāl hai tab tak
hamāre biich ye jab tak ravāñ mohabbat hai
ye raaz mujh pe khulā hai tumhāre chhūne se
havas charāġh hai lekin dhuāñ mohabbat hai
mujhe bataya gaya tha yahan mohabbat hai
main aa gaya hun dikhao kahan mohabbat hai
yahan ke log bahut dushmani nibahte hain
isi se hota hai sabit yahan mohabbat hai
kisi ke naf-piyale se munh haTa lena
sawal hi nahin uThta miyan mohabbat hai
so ruh-o-jism ka rishta bahaal hai tab tak
hamare bich ye jab tak rawan mohabbat hai
ye raaz mujh pe khula hai tumhaare chhune se
hawas charagh hai lekin dhuan mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.