mujhe be-ruKHi pe teri agar iKHtiyar hota
mujhe be-ruḳhī pe terī agar iḳhtiyār hotā
to maiñ bazm se na uThtā na maiñ sharmsār hotā
yahī aarzū thī merī tire dar pe jaan de duuñ
tirī rahguzar meñ zālim mirā ik mazār hotā
dil-e-nā-subūr meñ bas yahī ik havas hai baaqī
mirī ziist kā fasāna kahīñ yādgār hotā
jo qafas meñ aa ga.e ham kareñ ġhair chārasāzī
ai nasīb koī apnā mirā ġham-gusār hotā
maiñ na kheltā 'irāqī' kabhī zindagī se apnī
tirī is vafā pe mujh ko agar e.atibār hotā
mujhe be-ruKHi pe teri agar iKHtiyar hota
to main bazm se na uThta na main sharmsar hota
yahi aarzu thi meri tere dar pe jaan de dun
teri rahguzar mein zalim mera ek mazar hota
dil-e-na-subur mein bas yahi ek hawas hai baqi
meri zist ka fasana kahin yaadgar hota
jo qafas mein aa gae hum karen ghair chaarasazi
ai nasib koi apna mera gham-gusar hota
main na khelta 'iraqi' kabhi zindagi se apni
teri is wafa pe mujh ko agar eatibar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.