mujhe bulaya to tha zindagi ne main na mila
mujhe bulāyā to thā zindagī ne maiñ na milā
pukārā bhī thā tirī dostī ne maiñ na milā
surāġh milne lagā thā qadīm madfan kā
zamīn khol rahī thī ḳhazīne maiñ na milā
kabhī rulā bhī thā koī mire ta.āqub meñ
nikal ga.e the kisī ke pasīne maiñ na milā
na-jāne kaun sī duniyā meñ jā ke bas gayā huuñ
bahut talāsh kiyā hai kisī ne maiñ na milā
jo tere hijr meñ gum ho ga.e the kuchh raste
nishān un ke batā.e tumhī ne maiñ na milā
mujhe bulaya to tha zindagi ne main na mila
pukara bhi tha teri dosti ne main na mila
suragh milne laga tha qadim madfan ka
zamin khol rahi thi KHazine main na mila
kabhi rula bhi tha koi mere taaqub mein
nikal gae the kisi ke pasine main na mila
na-jaane kaun si duniya mein ja ke bas gaya hun
bahut talash kiya hai kisi ne main na mila
jo tere hijr mein gum ho gae the kuchh raste
nishan un ke batae tumhi ne main na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.