Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe dair se ta’alluq na haram se aashnai

Shamim Karhani

mujhe dair se ta’alluq na haram se aashnai

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    mujhe dair se ta’alluq na haram se āshnā.ī

    kahīñ qashqa-e-numāish kahīñ sajda-e-riyā.ī

    kisī jeb-e-dil meñ dekhī na matā-e-ishq maiñ ne

    mire shahr meñ luTā do mirā dard-e-be-navā.ī

    mire dil ke aa.ine ko na shikasta kar ḳhudā-rā

    ki udaas ho na jaa.e tirā husn-e-ḳhud-numā.ī

    koī kab pahuñch sakā hai tire ġham sarhadoñ tak

    vahī kārvāñ manzil jo mirī shikasta-pā.ī

    mire harf-e-sad-tamannā se khilā to koī ġhuncha

    maiñ nisār-e-yak-tabassum ki huī to lab-kushā.ī

    mirī ġhurbat-e-sahar na thakā ġhurūr varna

    maiñ chaman se maañg letā koī shām-e-be-hayā.ī

    na 'shamīm' naaz karnā ki atīya-e-junūñ hai

    ye tirā tarannum-e-ġham ye tirī ġhazal-sarā.ī

    mujhe dair se ta’alluq na haram se aashnai

    kahin qashqa-e-numaish kahin sajda-e-riyai

    kisi jeb-e-dil mein dekhi na mata-e-ishq main ne

    mere shahr mein luTa do mera dard-e-be-nawai

    mere dil ke aaine ko na shikasta kar KHuda-ra

    ki udas ho na jae tera husn-e-KHud-numai

    koi kab pahunch saka hai tere gham ki sarhadon tak

    wahi karwan ki manzil jo meri shikasta-pai

    mere harf-e-sad-tamanna se khila to koi ghuncha

    main nisar-e-yak-tabassum ki hui to lab-kushai

    meri ghurbat-e-sahar ka na thaka ghurur warna

    main chaman se mang leta koi sham-e-be-hayai

    na 'shamim' naz karna ki atiya-e-junun hai

    ye tera tarannum-e-gham ye teri ghazal-sarai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now