mujhe Dar hai hanste hanste kahin ro na de zamana
mujhe Dar hai hañste hañste kahīñ ro na de zamāna
jo badal badal ke unvāñ maiñ kahūñ vahī fasāna
ye bahār ye ghaTā.eñ ye shabāb kā zamāna
mujhe ab to diije nāseh na salāh-e-muḳhlisāna
jo ho jazb jazb-e-kāmil jo ho shauq-e-vālihāna
to hai bandagī ko lāzim na jabīñ na āstāna
hai mujhe malāl is kā ki badal ga.iiñ vo nazreñ
mujhe is kā ġham nahīñ hai ki badal gayā zamāna
maiñ kab aayā jā.ūñgā kab mujhe kuchh ḳhabar nahīñ hai
mirī ibtidā fasāna mirī intihā fasāna
mirā haal dekhte hī kī har ik ne mai se tauba
mirī laġhzishoñ ke sadqe meñ sambhal gayā zamāna
sar-e-tūr kyoñ maiñ jā.ūñ bhalā us ke dekhne ko
vo har ek jā ayaañ hai jo nazar ho ārifāna
kabhī saath saath chalnā na huā nasīb mujh ko
kabhī baḌh gayā maiñ aage kabhī baḌh gayā zamāna
are aap kī to āñkhoñ meñ jhalak rahe haiñ aañsū
bas ab aap sun chuke aur maiñ sunā chukā fasāna
mirī har ġhazal meñ pinhāñ mirī dil kī dhaḌkaneñ haiñ
magar ai 'sa.īd' us ko na samajh sakā zamāna
mujhe Dar hai hanste hanste kahin ro na de zamana
jo badal badal ke unwan main kahun wahi fasana
ye bahaar ye ghaTaen ye shabab ka zamana
mujhe ab to dije naseh na salah-e-muKHlisana
jo ho jazb jazb-e-kaamil jo ho shauq-e-walihana
to hai bandagi ko lazim na jabin na aastana
hai mujhe malal is ka ki badal gain wo nazren
mujhe is ka gham nahin hai ki badal gaya zamana
main kab aaya jaunga kab mujhe kuchh KHabar nahin hai
meri ibtida fasana meri intiha fasana
mera haal dekhte hi ki har ek ne mai se tauba
meri laghzishon ke sadqe mein sambhal gaya zamana
sar-e-tur kyon main jaun bhala us ke dekhne ko
wo har ek ja ayan hai jo nazar ho aarifana
kabhi sath sath chalna na hua nasib mujh ko
kabhi baDh gaya main aage kabhi baDh gaya zamana
are aap ki to aankhon mein jhalak rahe hain aansu
bas ab aap sun chuke aur main suna chuka fasana
meri har ghazal mein pinhan meri dil ki dhaDkanen hain
magar ai 'said' us ko na samajh saka zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.