mujhe dariya banana chahti hai
mujhe dariyā banānā chāhtī hai
ye duniyā Duub jaanā chāhtī hai
hamārī niiñd kī hasrat to dekho
tumheñ takiya banānā chāhtī hai
tumhārī yaad sahrā ke safar meñ
hamāre saath aanā chāhtī hai
sitāro kaun utrā hai zamīñ par
nazar kyuuñ sar jhukānā chāhtī hai
samundar se koī itnā to pūchhe
nadī kyuuñ suukh jaanā chāhtī hai
hamārī jaan kā sadqa utāro
hamārī jaan jaanā chāhtī hai
mujhe dariya banana chahti hai
ye duniya Dub jaana chahti hai
hamari nind ki hasrat to dekho
tumhein takiya banana chahti hai
tumhaari yaad sahra ke safar mein
hamare sath aana chahti hai
sitaro kaun utra hai zamin par
nazar kyun sar jhukana chahti hai
samundar se koi itna to puchhe
nadi kyun sukh jaana chahti hai
hamari jaan ka sadqa utaro
hamari jaan jaana chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.