mujhe din-raat fikr-e-ashiyan malum hoti hai
mujhe din-rāt fikr-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
ki bargashta nigāh-e-bāġhbāñ ma.alūm hotī hai
jo dil āzād ho to har jagah hāsil hai āzādī
qafas meñ bhī bahār-e-gulsitāñ ma.alūm hotī hai
pa.e-gul-gasht shāyad aaj vo jān-e-bahār aayā
chaman kī pattī pattī gulsitāñ ma.alūm hotī hai
ujaḌtī aa rahī hai muddatoñ se dekhiye phir bhī
bahār-e-bāġh-e-ālam be-ḳhizāñ ma.alūm hotī hai
tabassum un ke hoñToñ par taḌap hai mere siine meñ
kahāñ bijlī chamaktī hai kahāñ ma.alūm hotī hai
shafaq phūlī huī hai har taraf ḳhūn-e-shahīdāñ kī
zamīn-e-kū-e-qātil āsmāñ ma.alūm hotī hai
kisī kī anjuman meñ mujh pe ye pābandiyāñ 'aḳhtar'
zarā sī baat par kaTtī zabāñ ma.alūm hotī hai
mujhe din-raat fikr-e-ashiyan malum hoti hai
ki bargashta nigah-e-baghban malum hoti hai
jo dil aazad ho to har jagah hasil hai aazadi
qafas mein bhi bahaar-e-gulsitan malum hoti hai
pae-gul-gasht shayad aaj wo jaan-e-bahaar aaya
chaman ki patti patti gulsitan malum hoti hai
ujaDti aa rahi hai muddaton se dekhiye phir bhi
bahaar-e-bagh-e-alam be-KHizan malum hoti hai
tabassum un ke honTon par taDap hai mere sine mein
kahan bijli chamakti hai kahan malum hoti hai
shafaq phuli hui hai har taraf KHun-e-shahidan ki
zamin-e-ku-e-qatil aasman malum hoti hai
kisi ki anjuman mein mujh pe ye pabandiyan 'aKHtar'
zara si baat par kaTti zaban malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.