mujhe do rang bharne ki ijazat main banata hun
mujhe do rang bharne kī ijāzat maiñ banātā huuñ
jahāñ bantī nahīñ hai koī sūrat maiñ banātā huuñ
tumheñ to Thiik se barbād karnā bhī nahīñ aatā
chalo pīchhe haTo apnī ye hālat maiñ banātā huuñ
ta'alluq meñ koī raḳhna banānā saḳht-jānī hai
tire hāthoñ kī narmāhaT salāmat maiñ banātā huuñ
tire hisse meñ pahle ashk se āġhāz karnā hai
baqāyā kār-e-girya ko nihāyat maiñ banātā huuñ
mirī hamdam ko shikva hai ki maiñ kuchh bhī nahīñ kartā
mire bachche samajhte haiñ ki qismat maiñ banātā huuñ
ghaḌī kī sūiyāñ tartīb meñ Tik-Tik banātī haiñ
magar ye jāgne sone kī aadat maiñ banātā huuñ
mujhe do rang bharne ki ijazat main banata hun
jahan banti nahin hai koi surat main banata hun
tumhein to Thik se barbaad karna bhi nahin aata
chalo pichhe haTo apni ye haalat main banata hun
ta'alluq mein koi raKHna banana saKHt-jaani hai
tere hathon ki narmahaT salamat main banata hun
tere hisse mein pahle ashk se aaghaz karna hai
baqaya kar-e-girya ko nihayat main banata hun
meri hamdam ko shikwa hai ki main kuchh bhi nahin karta
mere bachche samajhte hain ki qismat main banata hun
ghaDi ki suiyan tartib mein Tik-Tik banati hain
magar ye jagne sone ki aadat main banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.