mujhe duniya se nafrat ho rahi hai
mujhe duniyā se nafrat ho rahī hai
magar tum se mohabbat ho rahī hai
abhī to amn kā paikar hai baaqī
abhī se kyoñ baġhāvat ho rahī hai
buzurgoñ kī duā kā faiz hai ye
mujhe hāsil jo shohrat ho rahī hai
buḌhāpā baḌh rahā hai jaise jaise
sahāre kī zarūrat ho rahī hai
'majāz'-e-ḳhush-navā kī shā.irī meñ
numāyāñ ik haqīqat ho rahī hai
mujhe duniya se nafrat ho rahi hai
magar tum se mohabbat ho rahi hai
abhi to amn ka paikar hai baqi
abhi se kyon baghawat ho rahi hai
buzurgon ki dua ka faiz hai ye
mujhe hasil jo shohrat ho rahi hai
buDhapa baDh raha hai jaise jaise
sahaare ki zarurat ho rahi hai
'majaz'-e-KHush-nawa ki shairi mein
numayan ek haqiqat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.