Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ehsas ye pal pal raha hai

Abdul Wahab Sukhan

mujhe ehsas ye pal pal raha hai

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    mujhe ehsās ye pal pal rahā hai

    ki mere sar se sūraj Dhal rahā hai

    ḳhushā sāthī vo pichhle mausamoñ ke

    ye tanhā.ī aalam khal rahā hai

    barā-e-shab jalāo mish.al-e-jāñ

    thakā-māñda ye sūraj Dhal rahā hai

    safar meñ ye gumāñ hai har qadam par

    ki mere saath koī chal rahā hai

    raqam the jis pe lamhe besh-qīmat

    vo kāġhaz āñsuoñ se gal rahā hai

    tasavvur hai nasha hai dhaḌkaneñ haiñ

    'suḳhan' sheroñ meñ koī Dhal rahā hai

    mujhe ehsas ye pal pal raha hai

    ki mere sar se suraj Dhal raha hai

    KHusha sathi wo pichhle mausamon ke

    ye tanhai ka aalam khal raha hai

    bara-e-shab jalao mishal-e-jaan

    thaka-manda ye suraj Dhal raha hai

    safar mein ye guman hai har qadam par

    ki mere sath koi chal raha hai

    raqam the jis pe lamhe besh-qimat

    wo kaghaz aansuon se gal raha hai

    tasawwur hai nasha hai dhaDkanen hain

    'suKHan' sheron mein koi Dhal raha hai

    Source :
    • Book : Nai Rut Ka Safar (Pg. 46)
    • Author : Abdul Wahab Sukhan
    • Publication : Mishkaat Printer, Aligrah (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now