mujhe hai zist ki talash zindagi ke shahr mein
mujhe hai zist ki talash zindagi ke shahr mein
Karamat Ali Karamat
MORE BYKaramat Ali Karamat
mujhe hai ziist kī talāsh zindagī ke shahr meñ
taras rahā huuñ raushnī ko raushnī ke shahr meñ
kabhī kabhī junūñ kī vādiyoñ meñ ham sañbhal ga.e
kabhī kabhī fareb khaa.e āgahī ke shahr meñ
bhalā dil-e-shikasta ko kahāñ sukūn mil sake
hai shorishoñ kā ik hujūm ḳhāmushī ke shahr meñ
naqīb-e-hosh-o-'aql rakh sañbhal ke apnā har qadam
ḳhudī na kaam aa sakegī be-ḳhudī ke shahr meñ
jabīn-e-shoḳh ko kahāñ se sang-e-dar nasīb ho
matā'-e-hosh luT chukī hai bandagī ke shahr meñ
mujhe hai zist ki talash zindagi ke shahr mein
taras raha hun raushni ko raushni ke shahr mein
kabhi kabhi junun ki wadiyon mein hum sanbhal gae
kabhi kabhi fareb khae aagahi ke shahr mein
bhala dil-e-shikasta ko kahan sukun mil sake
hai shorishon ka ek hujum KHamushi ke shahr mein
naqib-e-hosh-o-'aql rakh sanbhal ke apna har qadam
KHudi na kaam aa sakegi be-KHudi ke shahr mein
jabin-e-shoKH ko kahan se sang-e-dar nasib ho
mata'-e-hosh luT chuki hai bandagi ke shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.