mujhe hayat ke sanchon mein Dhaalne wale
mujhe hayāt ke sāñchoñ meñ Dhālne vaale
kahāñ ga.e vo samundar khañgālne vaale
luḌhak rahā huuñ Dhalānoñ se pyaar kī maiñ to
na aa.eñ raah meñ mujh ko sañbhālne vaale
hamāre shauq-e-farāvāñ ne Das liyā ham ko
ki āstīñ meñ the ham saañp pālne vaale
havā meñ pheñk na mujh ko samajh ke khel koī
tujhī ko aa ke lagūñgā uchhālne vaale
zarā sā kaam huuñ maiñ phir bhī nā-mukammal huuñ
yahāñ mile haiñ sabhī mujh ko Tālne vaale
kuaañ havas kā thā gahrā kuchh is qadar 'aḳhtar'
ki ḳhud hī gir ga.e mujh ko nikālne vaale
mujhe hayat ke sanchon mein Dhaalne wale
kahan gae wo samundar khangalne wale
luDhak raha hun Dhalanon se pyar ki main to
na aaen rah mein mujh ko sanbhaalne wale
hamare shauq-e-farawan ne Das liya hum ko
ki aastin mein the hum sanp palne wale
hawa mein phenk na mujh ko samajh ke khel koi
tujhi ko aa ke lagunga uchhaalne wale
zara sa kaam hun main phir bhi na-mukammal hun
yahan mile hain sabhi mujh ko Talne wale
kuan hawas ka tha gahra kuchh is qadar 'aKHtar'
ki KHud hi gir gae mujh ko nikalne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.