mujhe hazar martaba pukar kar chala gaya
mujhe hazar martaba pukar kar chala gaya
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
mujhe hazār martaba pukār kar chalā gayā
vo saarī umr merā intizār kar chalā gayā
ujaḌ rahā thā Thiik se ujaḌne bhī nahīñ diyā
vo jaane vaalā kyoñ mujhe sañvār kar chalā gayā
ye kyā ḳhayāl aa gayā safar se qabl zehn meñ
jo har taraf ġhubār hī ġhubār kar chalā gayā
mirā phir āñsuoñ pe iḳhtiyār hī nahīñ rahā
mirī nigāh ko vo ābshār kar chalā gayā
mujhe nahīñ qubūl thī shikast mere yaar kī
jahāñ ko ye lagā kyā maiñ haar kar chalā gayā
vo jis ke ashk khīñch kar safar se laa.e the hameñ
hamāre āñsuoñ ko darkinār kar chalā gayā
mujhe hazar martaba pukar kar chala gaya
wo sari umr mera intizar kar chala gaya
ujaD raha tha Thik se ujaDne bhi nahin diya
wo jaane wala kyon mujhe sanwar kar chala gaya
ye kya KHayal aa gaya safar se qabl zehn mein
jo har taraf ghubar hi ghubar kar chala gaya
mera phir aansuon pe iKHtiyar hi nahin raha
meri nigah ko wo aabshaar kar chala gaya
mujhe nahin qubul thi shikast mere yar ki
jahan ko ye laga kya main haar kar chala gaya
wo jis ke ashk khinch kar safar se lae the hamein
hamare aansuon ko darkinar kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.