mujhe hona tha kya kuchh aur kya hona paDa hai
mujhe honā thā kyā kuchh aur kyā honā paḌā hai
vafā ke 'ahd meñ ik bevafā honā paḌā hai
hamīñ to us ke dar par apnā dukhḌā ro rahe the
ḳhudā vo thā nahīñ us ko ḳhudā honā paḌā hai
jinheñ kahtī thī duniyā do badan ik jaan haiñ vo
kahānī meñ magar un ko judā honā paḌā hai
mire kāñdhoñ pe saare ghar kī zimmedāriyāñ thī
zarā sī 'umr meñ mujh ko baḌā honā paḌā hai
ujālā karte karte ghar jalāne lag ga.e the
charāġho is liye mujh ko havā honā paḌā hai
mujhe jis vaqt us ke hausle kī thī zarūrat
mujhe us vaqt us kā hausla honā paḌā hai
asīrī bhī hameñ jab raas aane lag ga.ī thī
tabhī phir qaid se ham ko rihā honā paḌā hai
mujhe hona tha kya kuchh aur kya hona paDa hai
wafa ke 'ahd mein ek bewafa hona paDa hai
hamin to us ke dar par apna dukhDa ro rahe the
KHuda wo tha nahin us ko KHuda hona paDa hai
jinhen kahti thi duniya do badan ek jaan hain wo
kahani mein magar un ko juda hona paDa hai
mere kandhon pe sare ghar ki zimmedariyan thi
zara si 'umr mein mujh ko baDa hona paDa hai
ujala karte karte ghar jalane lag gae the
charagho is liye mujh ko hawa hona paDa hai
mujhe jis waqt us ke hausle ki thi zarurat
mujhe us waqt us ka hausla hona paDa hai
asiri bhi hamein jab ras aane lag gai thi
tabhi phir qaid se hum ko riha hona paDa hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 119)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.