mujhe in sang-rezon ko guhar karna bhi aata hai
mujhe in sang-rezon ko guhar karna bhi aata hai
Mohammad Ismail Shadan
MORE BYMohammad Ismail Shadan
mujhe in sang-rezoñ ko guhar karnā bhī aatā hai
shab-e-tārīk ko nūr-e-sahar karnā bhī aatā hai
hamārī ḳhāmushī bhī maslahat ke taht hai varna
zamāne ko hameñ zer-o-zabar karnā bhī aatā hai
zamāna chhīn le ye aish-e-duniyā bhī to kyā ġham hai
mujhe to be-sar-o-sāmāñ guzar karnā bhī aatā hai
vo apnī manzil-e-maqsūd ik din pā hī jaate haiñ
jinheñ dushvār rāhoñ meñ safar karnā bhī aatā hai
ḳhushī kī chhāñv meñ rahne ke ham aadī to haiñ lekin
ġhamoñ kī dhuup meñ 'shādāñ' basar karnā bhī aatā hai
mujhe in sang-rezon ko guhar karna bhi aata hai
shab-e-tarik ko nur-e-sahar karna bhi aata hai
hamari KHamushi bhi maslahat ke taht hai warna
zamane ko hamein zer-o-zabar karna bhi aata hai
zamana chhin le ye aish-e-duniya bhi to kya gham hai
mujhe to be-sar-o-saman guzar karna bhi aata hai
wo apni manzil-e-maqsud ek din pa hi jate hain
jinhen dushwar rahon mein safar karna bhi aata hai
KHushi ki chhanw mein rahne ke hum aadi to hain lekin
ghamon ki dhup mein 'shadan' basar karna bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.