mujhe is baat ka shikwa nahin hai
mujhe is baat kā shikva nahīñ hai
ki jo merā thā ab merā nahīñ hai
maiñ sach se rū-ba-rū ho jā.ūñ kaise
mire kamre meñ ā.īna nahīñ hai
ġharībī meñ uThā.e laash ḳhud kī
vo jiitā hai magar zinda nahīñ hai
makāñ gūñjā jo us ke bolne se
vo tab samjhā ki vo tanhā nahīñ hai
asar meñ huuñ tumhāre ye to sach hai
magar itnā gumāñ achchhā nahīñ hai
mujhe is baat ka shikwa nahin hai
ki jo mera tha ab mera nahin hai
main sach se ru-ba-ru ho jaun kaise
mere kamre mein aaina nahin hai
gharibi mein uThae lash KHud ki
wo jita hai magar zinda nahin hai
makan gunja jo us ke bolne se
wo tab samjha ki wo tanha nahin hai
asar mein hun tumhaare ye to sach hai
magar itna guman achchha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.