mujhe is shahr ki aab-o-hawa achchhi nahin lagti
mujhe is shahr ki aab-o-hawa achchhi nahin lagti
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
mujhe is shahr kī āb-o-havā achchhī nahīñ lagtī
musalsal ḳhud-farebī kī qabā achchhī nahīñ lagtī
ilāhī ye maraz kaisā lagā mujh ko na jaane kyoñ
duā achchhī nahīñ lagtī davā achchhī nahīñ lagtī
ḳhushī kī bhī ḳhabar se ab to dilchaspī nahīñ mujh ko
ki ab ai zindagī tujh se vafā achchhī nahīñ lagtī
jahāñ ke sāmne ham ko na tum pahchān paate ho
tumhārī ye adā ham ko zarā achchhī nahīñ lagtī
maiñ aisī bazm-e-shor-o-ġhul se niklā huuñ ki ab mujh ko
koī aahaT kisī kī bhī sadā achchhī nahīñ lagtī
maiñ kahnā chāhtā huuñ un se lekin kah nahīñ paatā
ki mujh ko un kī ḳhū un kī anā achchhī nahīñ lagtī
duā.eñ aur fariyādeñ falak se lauT aatī haiñ
ḳhudā ko ġhāliban merī razā achchhī nahīñ lagtī
tū kyoñ kahtā hai sajdoñ meñ mujhe rab umr lambī de
mujhe tere laboñ par ye duā achchhī nahīñ lagtī
kabhī terī sabhī nādāniyoñ par jaan dete the
magar ab to tirī koī ḳhatā achchhī nahīñ lagtī
mujhe tum chhoḌ do is haal par ye haal achchhā hai
paḌī hai dard kī ḳhū ab shifā achchhī nahīñ lagtī
ujāloñ se to ab 'afrañg' kyā ummīd kījegā
magar ye tīrgī ham se ḳhafā achchhī nahīñ lagtī
mujhe is shahr ki aab-o-hawa achchhi nahin lagti
musalsal KHud-farebi ki qaba achchhi nahin lagti
ilahi ye maraz kaisa laga mujh ko na jaane kyon
dua achchhi nahin lagti dawa achchhi nahin lagti
KHushi ki bhi KHabar se ab to dilchaspi nahin mujh ko
ki ab ai zindagi tujh se wafa achchhi nahin lagti
jahan ke samne hum ko na tum pahchan pate ho
tumhaari ye ada hum ko zara achchhi nahin lagti
main aisi bazm-e-shor-o-ghul se nikla hun ki ab mujh ko
koi aahaT kisi ki bhi sada achchhi nahin lagti
main kahna chahta hun un se lekin kah nahin pata
ki mujh ko un ki KHu un ki ana achchhi nahin lagti
duaen aur fariyaaden falak se lauT aati hain
KHuda ko ghaaliban meri raza achchhi nahin lagti
tu kyon kahta hai sajdon mein mujhe rab umr lambi de
mujhe tere labon par ye dua achchhi nahin lagti
kabhi teri sabhi nadaniyon par jaan dete the
magar ab to teri koi KHata achchhi nahin lagti
mujhe tum chhoD do is haal par ye haal achchha hai
paDi hai dard ki KHu ab shifa achchhi nahin lagti
ujalon se to ab 'afrang' kya ummid kijega
magar ye tirgi hum se KHafa achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.