mujhe is tarah na dekho mera dil machal na jae
mujhe is tarah na dekho mera dil machal na jae
Sajid Sajni Lakhnawi
MORE BYSajid Sajni Lakhnawi
mujhe is tarah na dekho mirā dil machal na jaa.e
ye balā kā manchalā hai kisī par phisal na jaa.e
mirī bachchī ro rahī hai maiñ abhī sulā ke aa.ī
zarā bhābhī dekhte rahnā kahīñ duudh ubal na jaa.e
karo chheḌ ab na mujh se na jagāo so.e fitne
jo charāġh bujh chukā hai kahīñ phir se jal na jaa.e
ye kahāñ kā chochalā hai zarā haT ke khelo munnā
mirā reshmī ġharāra kahīñ mal-gujal na jaa.e
tujhe is liye paḌosan maiñ nazar meñ rakh rahī huuñ
kahīñ un se hañste hañste tirī daal gal na jaa.e
ye to māntī huuñ 'sajnī' ki milī ho baad muddat
mujhe is qadar na bhīñcho mirā dam nikal na jaa.e
mujhe is tarah na dekho mera dil machal na jae
ye bala ka manchala hai kisi par phisal na jae
meri bachchi ro rahi hai main abhi sula ke aai
zara bhabhi dekhte rahna kahin dudh ubal na jae
karo chheD ab na mujh se na jagao soe fitne
jo charagh bujh chuka hai kahin phir se jal na jae
ye kahan ka chochala hai zara haT ke khelo munna
mera reshmi gharara kahin mal-gujal na jae
tujhe is liye paDosan main nazar mein rakh rahi hun
kahin un se hanste hanste teri dal gal na jae
ye to manti hun 'sajni' ki mili ho baad muddat
mujhe is qadar na bhincho mera dam nikal na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.