mujhe is zamin ki hai justuju na to aasman ki talash hai
mujhe is zamīñ kī hai justujū na to āsmāñ kī talāsh hai
jahāñ raqs kartī ho zindagī mujhe us jahāñ kī talāsh hai
mirā saath chhoḌ de ham-safar tirī raah hai abhī muḳhtasar
tujhe manziloñ kī hai justujū mujhe kārvāñ kī talāsh hai
maiñ bhaTak rahā huuñ ḳhalāoñ meñ ġham-e-zindagī kī sadāoñ meñ
ġham-e-bekarāñ meñ dharā hai kyā ġham-e-jāvedāñ kī talāsh hai
jo ravish ravish ko sañvār de jo kalī kalī ko nikhār de
jo chaman ko rang-e-bahār de usī bāġhbāñ kī talāsh hai
thī ajiib ġham kī vo dāstāñ jo mire laboñ pe na aa sakī
jo bikhar ga.ī hai varaq varaq usī dāstāñ kī talāsh hai
mujhe is zamin ki hai justuju na to aasman ki talash hai
jahan raqs karti ho zindagi mujhe us jahan ki talash hai
mera sath chhoD de ham-safar teri rah hai abhi muKHtasar
tujhe manzilon ki hai justuju mujhe karwan ki talash hai
main bhaTak raha hun KHalaon mein gham-e-zindagi ki sadaon mein
gham-e-bekaran mein dhara hai kya gham-e-jawedan ki talash hai
jo rawish rawish ko sanwar de jo kali kali ko nikhaar de
jo chaman ko rang-e-bahaar de usi baghban ki talash hai
thi ajib gham ki wo dastan jo mere labon pe na aa saki
jo bikhar gai hai waraq waraq usi dastan ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.