mujhe itnā satā kar kyā karegā
mirī hastī miTā kar kyā karegā
maiñ sannā.ī kā paikar huuñ usī kī
hañsī merī uḌā kar kyā karegā
jo fitrat hai mirī vo to aTal hai
musalsal aazmā kar kyā karegā
huā jo ko.elā thā raakh jal kar
usī ko phir jalā kar kyā karegā
mirā zāhir mirā bātin mirā hai
mire ghar meñ vo aa kar kyā karegā
maiñ jal kar raakh ho jā.ūñgā pal meñ
mujhe jalva dikhā kar kyā karegā
mujhe itna sata kar kya karega
meri hasti miTa kar kya karega
main sannai ka paikar hun usi ki
hansi meri uDa kar kya karega
jo fitrat hai meri wo to aTal hai
musalsal aazma kar kya karega
hua jo koela tha rakh jal kar
usi ko phir jala kar kya karega
mera zahir mera baatin mera hai
mere ghar mein wo aa kar kya karega
main jal kar rakh ho jaunga pal mein
mujhe jalwa dikha kar kya karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.