mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai
mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
mujhe jab bhī vo galiyāñ aur vo rasta yaad aatā hai
koī dhuñdlā sā manzar hai jo ujlā yaad aatā hai
fazā-e-dil pe taarī hai bahut hī habs kā mausam
tirī qurbat kī ḳhushbū kā vo jhoñkā yaad aatā hai
kahā tum to judā.ī kā vo manzar bhuul baiThe ho
ḳhalā meñ dekh kar mujh se vo bolā yaad aatā hai
ḳhizāñ-rut hai magar mujh ko ḳhayāloñ ke tasalsul meñ
mohabbat ke gulāboñ kā vo sapnā yaad aatā hai
kisī ke dukh bhare lamhe meñ jab koī bilaktā hai
haqīqat meñ use har zaḳhm apnā yaad aatā hai
musalsal ret par chalnā vafā kī riit Thahrī hai
tirī dahlīz tak phailā vo sahrā yaad aatā hai
vo lamha jo guzarte mausamoñ meñ saath Thahrā hai
mujhe ḳhud bhī nahīñ mā'lūm kitnā yaad aatā hai
kabhī jab hijr kī aahaT se dil āñgan meñ aatī hai
bahut apnā.iyat se bas vo apnā yaad aatā hai
tirā hī 'aks utrā hai mirī nazmoñ meñ ġhazloñ meñ
vo lahja terī chāhat kā vo chehra yaad aatā hai
hamārā naam likkhā thā kabhī jo ret par us ne
kabhī jab yaad aa.e to vo dariyā yaad aatā hai
mire āñgan meñ jab bhī shaam ke saa.e utarte haiñ
mujhe 'shāhīñ' mohabbat kā hī saaya yaad aatā hai
mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai
koi dhundla sa manzar hai jo ujla yaad aata hai
faza-e-dil pe tari hai bahut hi habs ka mausam
teri qurbat ki KHushbu ka wo jhonka yaad aata hai
kaha tum to judai ka wo manzar bhul baiThe ho
KHala mein dekh kar mujh se wo bola yaad aata hai
KHizan-rut hai magar mujh ko KHayalon ke tasalsul mein
mohabbat ke gulabon ka wo sapna yaad aata hai
kisi ke dukh bhare lamhe mein jab koi bilakta hai
haqiqat mein use har zaKHm apna yaad aata hai
musalsal ret par chalna wafa ki rit Thahri hai
teri dahliz tak phaila wo sahra yaad aata hai
wo lamha jo guzarte mausamon mein sath Thahra hai
mujhe KHud bhi nahin ma'lum kitna yaad aata hai
kabhi jab hijr ki aahaT se dil aangan mein aati hai
bahut apnaiyat se bas wo apna yaad aata hai
tera hi 'aks utra hai meri nazmon mein ghazlon mein
wo lahja teri chahat ka wo chehra yaad aata hai
hamara nam likkha tha kabhi jo ret par us ne
kabhi jab yaad aae to wo dariya yaad aata hai
mere aangan mein jab bhi sham ke sae utarte hain
mujhe 'shahin' mohabbat ka hi saya yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.