mujhe jab shan-e-zabt-e-gham dikhane ka KHayal aaya
mujhe jab shan-e-zabt-e-gham dikhane ka KHayal aaya
Ghulam Mustafa Beg Sabir Barari
MORE BYGhulam Mustafa Beg Sabir Barari
mujhe jab shān-e-zabt-e-ġham dikhāne kā ḳhayāl aaya
vufūr-e-dard meñ bhī muskurāne kā ḳhayāl aaya
mirī aahoñ ko ab ye gul khilāne kā ḳhayāl aaya
harīm-e-nāz meñ halchal machāne kā ḳhayāl aaya
tasavvur is liye chhoḌā hai un kī chashm-e-mai-gūñ kā
mujhe tauba pe apnī aañch aane kā ḳhayāl aaya
sahārā le rahā huuñ is liye maiñ ḳhud-kalāmī kā
mujhe apnā akelā-pan miTāne kā ḳhayāl aaya
na jaane kaun se aalam meñ hogā un kā dīvāna
use jis vaqt un ko bhuul jaane kā ḳhayāl aaya
ḳhirad-mandoñ kā koī kaam shāyad aa paḌā 'sābir'
unheñ ahl-e-junūñ ke naaz uThāne kā ḳhayāl aaya
mujhe jab shan-e-zabt-e-gham dikhane ka KHayal aaya
wufur-e-dard mein bhi muskurane ka KHayal aaya
meri aahon ko ab ye gul khilane ka KHayal aaya
harim-e-naz mein halchal machane ka KHayal aaya
tasawwur is liye chhoDa hai un ki chashm-e-mai-gun ka
mujhe tauba pe apni aanch aane ka KHayal aaya
sahaara le raha hun is liye main KHud-kalami ka
mujhe apna akela-pan miTane ka KHayal aaya
na jaane kaun se aalam mein hoga un ka diwana
use jis waqt un ko bhul jaane ka KHayal aaya
KHirad-mandon ka koi kaam shayad aa paDa 'sabir'
unhen ahl-e-junun ke naz uThane ka KHayal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.