mujhe jalwon ki uske tamiz ho kya mere hosh-o-hawas bacha hi nahin
mujhe jalwon ki uske tamiz ho kya mere hosh-o-hawas bacha hi nahin
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
mujhe jalvoñ kī us ke tamīz ho kyā mere hosh-o-havās bachā hī nahīñ
hai ye be-ḳhabarī ki ḳhabar hī nahīñ vo naqāb uThā ki uThā hī nahīñ
mire haal pe chhoḌ tabīb mujhe ki azaab hai mirī ziist mujhe
merā marnā hī mere liye hai shifā mere dard kī koī davā hī nahīñ
use DhūñDte DhūñDte kho ga.e hameñ huā kiyā aur kyā ho ga.e ham
hameñ pahroñ tak apnī ḳhabar hī nahīñ hameñ kosoñ tak apnā patā hī nahīñ
mirā haal ḳharāb sunā to kahā ki vo sāmne mere na aa.e kabhī
mujhe rote jo dekhā to hañs ke kahā ki ye sheva-e-ahl-e-vafā hī nahīñ
jahāñ koī sitam ījād kiyā mujhe kah ke falak ne ye yaad kiyā
ki bas ek dil-e-'bedam' ke sivā koī qābil-e-mashq-e-jafā hī nahīñ
mujhe jalwon ki us ke tamiz ho kya mere hosh-o-hawas bacha hi nahin
hai ye be-KHabari ki KHabar hi nahin wo naqab uTha ki uTha hi nahin
mere haal pe chhoD tabib mujhe ki azab hai meri zist mujhe
mera marna hi mere liye hai shifa mere dard ki koi dawa hi nahin
use DhunDte DhunDte kho gae hamein hua kiya aur kya ho gae hum
hamein pahron tak apni KHabar hi nahin hamein koson tak apna pata hi nahin
mera haal KHarab suna to kaha ki wo samne mere na aae kabhi
mujhe rote jo dekha to hans ke kaha ki ye shewa-e-ahl-e-wafa hi nahin
jahan koi sitam ijad kiya mujhe kah ke falak ne ye yaad kiya
ki bas ek dil-e-'bedam' ke siwa koi qabil-e-mashq-e-jafa hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.