mujhe jism-o-jaan se na kar juda mujhe zehn-o-dil se miTa na de
mujhe jism-o-jaan se na kar juda mujhe zehn-o-dil se miTa na de
Jalal Aarif
MORE BYJalal Aarif
mujhe jism-o-jāñ se na kar judā mujhe zehn-o-dil se miTā na de
mujhe de ke qurb kā hausla merī tishnagī ko baḌhā na de
mirī azmateñ merī rif.ateñ tirī den hī to haiñ a ḳhudā
mujhe lā ke bām-e-urūj par kahīñ pastiyoñ meñ girā na de
mire har qadam pe tū rakh nazar mirī raah kā tū ho pāsbāñ
mire naqsh-e-pā haiñ yahāñ vahāñ kahīñ koī un ko miTā na de
ye fasīl jis pe khaḌā hai tū ye fasīl-e-shahr-e-ġhurūr hai
mujhe ḳhauf hai yahī har ghaḌī koī is fasīl ko Dhā na de
vo charāġh jis se hai haq ayaañ vahī hogā rahbar-e-kārvāñ
koī jhoñkā bād-e-sumūm kā ise dekh aa ke bujhā na de
maiñ jafā karūñ tū vafā kare tū jafā kare maiñ vafā karūñ
yahī rasm rasm-e-vafā rahe ise mere dost bhulā na de
ai rafīq 'ārif'-e-ḳhasta-dil hai ye āḳhirī mirī iltijā
mujhe zindagī kī duā na de mujhe itnī saḳht sazā na de
mujhe jism-o-jaan se na kar juda mujhe zehn-o-dil se miTa na de
mujhe de ke qurb ka hausla meri tishnagi ko baDha na de
meri azmaten meri rifaten teri den hi to hain a KHuda
mujhe la ke baam-e-uruj par kahin pastiyon mein gira na de
mere har qadam pe tu rakh nazar meri rah ka tu ho pasban
mere naqsh-e-pa hain yahan wahan kahin koi un ko miTa na de
ye fasil jis pe khaDa hai tu ye fasil-e-shahr-e-ghurur hai
mujhe KHauf hai yahi har ghaDi koi is fasil ko Dha na de
wo charagh jis se hai haq ayan wahi hoga rahbar-e-karwan
koi jhonka baad-e-sumum ka ise dekh aa ke bujha na de
main jafa karun tu wafa kare tu jafa kare main wafa karun
yahi rasm rasm-e-wafa rahe ise mere dost bhula na de
ai rafiq 'arif'-e-KHasta-dil hai ye aaKHiri meri iltija
mujhe zindagi ki dua na de mujhe itni saKHt saza na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.