mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya
mujhe jo duur se lagtā thā aab kā dariyā
gayā qarīb to paayā sarāb kā dariyā
kabhī savāb ke sāhil se lag nahīñ saktī
vo naav jis ke liye hai azaab kā dariyā
ba-zāhir āb-e-ravāñ kā jo ik ḳhazāna hai
haqīqatan hai vo dariyā habāb kā dariyā
mutāla kī jo vaadī se ho ke bahtā hai
vo hai mirī nigah-e-intiḳhāb kā dariyā
parind-e-fikr kī parvāz jab huī hai buland
falak se arsh pe utrā sahāb kā dariyā
haqīqatoñ ke jo sāhil ko chhoḌ kar bhaTke
milā hai un ko tasavvur meñ ḳhvāb kā dariyā
sarāb-e-dasht meñ pyāsoñ ke vāste 'nādim'
bahā diyā hai saḳhāvat ke aab kā dariyā
mujhe jo dur se lagta tha aab ka dariya
gaya qarib to paya sarab ka dariya
kabhi sawab ke sahil se lag nahin sakti
wo naw jis ke liye hai azab ka dariya
ba-zahir aab-e-rawan ka jo ek KHazana hai
haqiqatan hai wo dariya habab ka dariya
mutala ki jo wadi se ho ke bahta hai
wo hai meri nigah-e-intiKHab ka dariya
parind-e-fikr ki parwaz jab hui hai buland
falak se arsh pe utra sahab ka dariya
haqiqaton ke jo sahil ko chhoD kar bhaTke
mila hai un ko tasawwur mein KHwab ka dariya
sarab-e-dasht mein pyason ke waste 'nadim'
baha diya hai saKHawat ke aab ka dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.