mujhe kahani ke kirdar se mohabbat thi
mujhe kahānī ke kirdār se mohabbat thī
ki jis meñ saa.e ko dīvār se mohabbat thī
vo is liye bhī nahīñ chhoḌtā thā saath mirā
use bhī apne azādār se mohabbat thī
kuchh is liye bhī maiñ sahrā se aa ga.ī jañgal
mirī sarisht meñ ashjār se mohabbat thī
azīz-tar mujhe chādar thī jis tarah apnī
use bhī vaise hī dastār se mohabbat thī
gavāhī deñge sabhī us kī pārsā.ī kī
vo aam thā mujhe kirdār se mohabbat thī
maiñ hijratoñ kī 'samīna' huuñ is liye qaa.il
mire rafīq ko us paar se mohabbat thī
mujhe kahani ke kirdar se mohabbat thi
ki jis mein sae ko diwar se mohabbat thi
wo is liye bhi nahin chhoDta tha sath mera
use bhi apne azadar se mohabbat thi
kuchh is liye bhi main sahra se aa gai jangal
meri sarisht mein ashjar se mohabbat thi
aziz-tar mujhe chadar thi jis tarah apni
use bhi waise hi dastar se mohabbat thi
gawahi denge sabhi us ki parsai ki
wo aam tha mujhe kirdar se mohabbat thi
main hijraton ki 'samina' hun is liye qail
mere rafiq ko us par se mohabbat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.