mujhe kha hi gaya apnon ka gham aahista aahista
mujhe khā hī gayā apnoñ kā ġham āhista āhista
ye dil hotā gayā vaqf-e-alam āhista āhista
baḌhā.e jā.iye mashq-e-sitam āhista āhista
ye dil bhī ho chalā mānūs-e-ġham āhista āhista
ba-īñ-raftār niklegā tire iqbāl kā sūraj
ayaañ hotā hai jaise sub.h-dam āhista āhista
kabhī un kī taraf-dārī kabhī mujh se vafādārī
khulā jaatā hai ab un kā bharam āhista āhista
suneñge ab unhīñ do tiin shartoñ par mirā qissa
bayān-e-muḳhtasar ho kam se kam āhista āhista
kareñ is raaz kī uqda-kushā.ī āsmāñ vaale
gire jaate haiñ kyoñ pastī meñ ham āhista āhista
bhalā kyūñkar na uTh jaa.e vaqār-e-ādmī 'hasrat'
uThī duniyā se jab rasm-e-karam āhista āhista
mujhe kha hi gaya apnon ka gham aahista aahista
ye dil hota gaya waqf-e-alam aahista aahista
baDhae jaiye mashq-e-sitam aahista aahista
ye dil bhi ho chala manus-e-gham aahista aahista
ba-in-raftar niklega tere iqbaal ka suraj
ayan hota hai jaise subh-dam aahista aahista
kabhi un ki taraf-dari kabhi mujh se wafadari
khula jata hai ab un ka bharam aahista aahista
sunenge ab unhin do tin sharton par mera qissa
bayan-e-muKHtasar ho kam se kam aahista aahista
karen is raaz ki uqda-kushai aasman wale
gire jate hain kyon pasti mein hum aahista aahista
bhala kyunkar na uTh jae waqar-e-admi 'hasrat'
uThi duniya se jab rasm-e-karam aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.