Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe KHamosh rahna paD gaya hai

Mohammad Mustahsan Jami

mujhe KHamosh rahna paD gaya hai

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    mujhe ḳhāmosh rahnā paḌ gayā hai

    koī mujh meñ musalsal boltā hai

    ḳhayāl-e-yār har ek rasta

    tasavvur hadoñ se māvarā hai

    pareshānī meñ bhī vo ḳhush hai shāyad

    use darvesh-e-kāmil duā hai

    ḳhabar tak ho nahīñ paatī kisī ko

    vo yuuñ dil ke darīche kholtā hai

    tumhārī yaad dil-doz jhoñkā

    samā.at ke sabhī dar chīrtā hai

    mohabbat ke jazīre ke makīno

    yahāñ muḳhtalif āb-o-havā hai

    musalsal ḳhvāb meñ har raat aa kar

    koī merī jabīñ ko chūmtā hai

    mire hamrāh mat chalnā ki aage

    na manzil hai na koī rāsta hai

    tumhāre yaad ke jhoñke se 'jāmī'

    jabīñ par ik ajab bal paḌā hai

    mujhe KHamosh rahna paD gaya hai

    koi mujh mein musalsal bolta hai

    KHayal-e-yar ka har ek rasta

    tasawwur ki hadon se mawara hai

    pareshani mein bhi wo KHush hai shayad

    use darwesh-e-kaamil ki dua hai

    KHabar tak ho nahin pati kisi ko

    wo yun dil ke dariche kholta hai

    tumhaari yaad ka dil-doz jhonka

    samaat ke sabhi dar chirta hai

    mohabbat ke jazire ke makino

    yahan ki muKHtalif aab-o-hawa hai

    musalsal KHwab mein har raat aa kar

    koi meri jabin ko chumta hai

    mere hamrah mat chalna ki aage

    na manzil hai na koi rasta hai

    tumhaare yaad ke jhonke se 'jami'

    jabin par ek ajab sa bal paDa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now