mujhe KHadsha hai apni chashm-e-tar se
mujhe ḳhadsha hai apnī chashm-e-tar se
kahīñ paanī guzar jaa.e na sar se
jalā dī haiñ abhī se maiñ ne sham.eñ
mujhe hai intizār-e-shab sahar se
safīne vāqa.ī hoñ gar safīne
to kab mar.ūb hote haiñ bhañvar se
huā yuuñ darmiyāñ haa.il zamāna
ham ojhal ho ga.e apnī nazar se
unheñ dād-e-safar detī hai manzil
jo ghabrāte nahīñ tūl-e-safar se
tire aage koī kyā lab-kushā ho
dhaḌak uThte haiñ dil terī nazar se
bahut sahrā ko thiiñ jin se umīdeñ
vo bādal bhī 'zafar' gulshan pe barse
mujhe KHadsha hai apni chashm-e-tar se
kahin pani guzar jae na sar se
jala di hain abhi se main ne shamen
mujhe hai intizar-e-shab sahar se
safine waqai hon gar safine
to kab marub hote hain bhanwar se
hua yun darmiyan hail zamana
hum ojhal ho gae apni nazar se
unhen dad-e-safar deti hai manzil
jo ghabraate nahin tul-e-safar se
tere aage koi kya lab-kusha ho
dhaDak uThte hain dil teri nazar se
bahut sahra ko thin jin se umiden
wo baadal bhi 'zafar' gulshan pe barse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.