mujhe KHayal hua aur adu ko KHwab hua
mujhe ḳhayāl huā aur adū ko ḳhvāb huā
nasīb par na huā ye ki ek azaab huā
huī laboñ ko na jumbish ki bas itaab huā
tumhārā naam na lenā huā azaab huā
ek izhdihām hai us shoḳh kī galī meñ aaj
mire nasīb se mahshar bapā shitāb huā
bigāḌī ḳhū tirī kis ne batā tū ai zālim
zabāñ pe bosa kā naam aate hī itaab huā
galī-galī mirā lāsha liye phirā qātil
pas-az-fanā bhī ye murda mirā ḳharāb huā
ajab tarah kā hai dil sang us kā varna 'hayā'
mire taḌapne pe dushman kā zohra aab huā
mujhe KHayal hua aur adu ko KHwab hua
nasib par na hua ye ki ek azab hua
hui labon ko na jumbish ki bas itab hua
tumhaara nam na lena hua azab hua
ek izhdiham hai us shoKH ki gali mein aaj
mere nasib se mahshar bapa shitab hua
bigaDi KHu teri kis ne bata tu ai zalim
zaban pe bosa ka nam aate hi itab hua
gali-gali mera lasha liye phira qatil
pas-az-fana bhi ye murda mera KHarab hua
ajab tarah ka hai dil sang us ka warna 'haya'
mere taDapne pe dushman ka zohra aab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.