mujhe KHushi hai meri us se rasm-o-rah nahin
mujhe ḳhushī hai mirī us se rasm-o-rāh nahīñ
vo shaḳhs dil se kisī kā bhī ḳhair-ḳhvāh nahīñ
sabhī ḳhamosh haiñ aapas kī dushmanī meñ yahāñ
kisī kī be-gunahī kā koī gavāh nahīñ
vo mansaboñ kī havā meñ hai kisī tarah samjhe
ġhulām shahr meñ koī bhī kaj-kulāh nahīñ
ham apne shauq diyoñ kī salāmtī chāheñ
kisī ke anjum-o-mahtāb par nigāh nahīñ
anā ke mol na taḳht-e-shahī bhī le aa.eñ
vagarna kis ko tamannā-e-nām-o-jāh nahīñ
mujhe KHushi hai meri us se rasm-o-rah nahin
wo shaKHs dil se kisi ka bhi KHair-KHwah nahin
sabhi KHamosh hain aapas ki dushmani mein yahan
kisi ki be-gunahi ka koi gawah nahin
wo mansabon ki hawa mein hai kisi tarah samjhe
ghulam shahr mein koi bhi kaj-kulah nahin
hum apne shauq diyon ki salamti chahen
kisi ke anjum-o-mahtab par nigah nahin
ana ke mol na taKHt-e-shahi bhi le aaen
wagarna kis ko tamanna-e-nam-o-jah nahin
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 542)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.