mujhe kuchh aur hi manzar dikhai deta hai
mujhe kuchh aur hī manzar dikhā.ī detā hai
ye shahr-e-ḳhūñ kā samundar dikhā.ī detā hai
banā liyā hai jo ham ne makān shīshe kā
har ek haath meñ patthar dikhā.ī detā hai
isī ḳhatā pe ki ik din liyā thā naam tirā
tamām shahr sitamgar dikhā.ī detā hai
jo ham nahīñ to 'jamāl' aur koī ham jaisā
ġhamoñ kī dhuup meñ aksar dikhā.ī detā hai
mujhe kuchh aur hi manzar dikhai deta hai
ye shahr-e-KHun ka samundar dikhai deta hai
bana liya hai jo hum ne makan shishe ka
har ek hath mein patthar dikhai deta hai
isi KHata pe ki ek din liya tha nam tera
tamam shahr sitamgar dikhai deta hai
jo hum nahin to 'jamal' aur koi hum jaisa
ghamon ki dhup mein aksar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.